A Chhotu A Motu Lyrics | Ek Se Bhale Do - R D Burman-Asha Bhosle
A Chhotu A Motu Lyrics from Ek Se Bhale Do (1985)
Song Detail
Song: A Chhotu A Motu
Movie: Ek Se Bhale Do (1985)
Singer(s): Asha Bhosle, S P Balasubrahmanyam, Shailendra Singh
Music By: R D Burman
A Chhotu A Motu Lyrics from Ek Se Bhale Do (1985)
Yeh motu ye chhotu haan madam haan madam
Kaam karo kaam karake salaam, subah aur shaam tum ho gulaam
Haan hum hai gulaam
Yeh motu ha ye chhotu ha haan madam haan madam
Kaam karo kaam karake salaam, subah aur shaam tum ho gulaam
Haan haan hum hai gulaam
(Jo chaahe karawaalo jo chaahe manwaalo
Hum toh hujur yahaan bike bina daan) - (2)
Ho tum ho gulaam, haan hum hai gulaam
Ma ma ma motu, tu hai kaun, tu hai kaun
Bak bak chhodo na chalegi chaturaai
Jhaadu uthaao karo pehale safaayi
Mujhe mat dekho are lid uthaakar phenko
Are are are chhi chhi
Yeh kya hai akal nahi gadhe ko
Achchha jaao ghaas chana laao, ghodo ko khilaao paani pilaao
Maalish karo aur paalish karo, kaamchori ki toh jina kar dungi haraam
Ho tum ho gulaam, ha hum hai gulaam
Ye motu yes yes madam ye chotu present madam
Yeh motu ye chhotu haan madam haan madam
Kaam karo kaam karake salaam, subah aur shaam tum ho gulaam
Haan haan hum hai gulaam
Ruk nahi jaana kahin thak nahi jaana
Roti khaani hai toh hoga khun jalaana
Juldi karo nahi toh hogi pitaayi
Taange tod dungi ya sar phod dungi
Chamadi udhedake kahin chhod dungi
Baatein meri na maani toh, beimaani ki toh hoga bura anjaam - (2)
Ho tum ho gulaam, ha hum hai gulaam
Yeh motu ye chhotu are baaba kitana maarogi
Yeh motu ye chhotu ha madam ha ha madam
Kaam karo kaam karake salaam, subah aur shaam tum ho gulaam
Haan hum hai gulaam
(Jamin mein gadawa do ya jinda jala do
Hum toh hujur yaha bike bina daan) - (2)
Ho tum ho gulaam, ha hum hai gulaam
A Chhotu A Motu Lyrics | Ek Se Bhale Do - R D Burman-Asha Bhosle
Reviewed by Prince Jain
on
9:53:00 AM
Rating:
No comments:
Post a Comment